Chaman Me Aake Bhi Unko Phool Chunna Nahi Aaya,
Wo Payenge Bhi Kya Jinko Kabhi Jhukna Nahi Aaya !
Hamara Doston Se Dur Hone Ka Shabab Ye Hai,
Unhe Chalna Nahi Aaya Hame Rukna Nahi Aaya !
Na Mai Suraj Na Chanda Hu Jo Din Ya Raat Ko Chamkun,
Ujale Ki Mai Wo Lau Hu Jise Bujhna Nahi Aaya !
Ghazal Ke Shair Seene Me Hi Ghut Kar Reh Gaye Aakhir,
Hame Kehna Nahi Aaya Unhe Sunna Nahi Aaya !
Ghatayen Ho Ki Aankhen Ho Ya Dil Ki Uth Rahi Mauzen,
Na Jab Tak Jhoom Ke Barse Sanam Sawan Nahi Aaya !
Vida Ke Waqt Lab, Aankhon Ko Ye Kya Ho Gaya,
Unhe Rona Nahi Aaya Inhe Hasna Nahi Aaya !
Kadam Wapas Mude Na Agar Tere Naraaz Hamdam Ke,
Samajhle Dost Tujhko Dosti Ka Fann Nahi Aaya !!!
No comments:
Post a Comment