Sunday, August 31, 2008
Na pucho yeh dil kitna toota hain
pyar wafa ishq sanam sab jhuta hain,
Jiske liye yeh dil roya duniya mein sabke saamne usko hi
laga har ek ansoo mere dil ka jhuta hain,
Na pucho yeh dil kitna toota hain,
pyar wafa ishq sanam sab jhuta hain,
Kis kis ne tooda nahi hain yeh dil jab yeh dekha humne
to paya ke yeh shisha sabse toota hain,
Na pucho yeh dil kitna toota hain,
pyar wafa ishq sanam sab jhuta hain,
loog kehtai thai ki zara gairon se bachna
ab kisko bataye hum ki hume to kisi apne ne hi loota hain.
Na pucho yeh dil kitna toota hain,
pyar wafa ishq sanam sab jhuta hain........
Tu hi Bata main kya karun
Is toote huye dil ke liye ab duaa kaise karun
dard jab tuune diya hai to gilaa kaise karun
Aksar chalta raha tanha safar me yehi socha ke mai
ye muqammal tha safar jo maine kiya
ab tere binaa baki safar kaise karun
umar bhar ki mohbaat ka kya seela diya hai tune
tu hi bata de tere en jafaon ka gila kaise karun
thi koi mere hi haathon ki lakeeron mein kuch kamii
apni taqdeer ka ab tujhse gilaa kaise karun
meri har sans me basa hai tu zandgi ban ke ae dost
tuje bhula ke mai befawi kaise karun..
ye munaseeb nhi " Massom " Bhula dun use..
tu bata is jism se ye jaan juda kaise karun
Uss Zinda Dil ke Naam ,
Uss Zindegi ke Naam ,
Uss Qarz-e-Fun ke Naam ,
Ahl-e-Nazar ke Naam ,
Ahl-e-Wafa ke Naam ,
Unn Dostoon ke Naam ,
Unn Be-Hissoon ke Naam ,
Unn Bediloon ke Naam ,
Unn Bebasoon ke Naam ,
Unn Ahl-e-Dil ka Naam
Unn Hosloon ke Naam ,
Uss Shola-Rukh ke Naam
Hai Zofishaa'n Andherey mein Har Nuqta-e-Kitaab
Aur Husn-e-Baa-Kamaal ki Raanaa'yioo'n ke Naam !
Aur Apney Zehn-o-Qal'b ki Tanhaaiyoo'n ki Naam !
APNE HAATHON SE YUN CHEHRE KO CHUPATE KYUN HO,
MUJH SE SHARMATE HO TO SAAMNE ATEY KYUN HO...
TUM KABHI MERI TARHA KAR BHI LO IKRAAR-E-WAFA,
PYAR KARTE HO TO PHIR PYAR CHUPATE KYUN HO...
ASHQ AANKHO MEIN MERI DEKH KE ROTE KYUN HO
DIL BHAR AATA HAI TO PHIR DIL DUKHATE KYUN HO
IN SE VAABASTA HAI JAB MERA MUQADAR, PHIR TUM
MERE SHANO SE YE ZULF HATATAY KYUN HO...
MILNE AATAY HO TO PHIR LAUT KE JATAY KYUN HO...
Yeh darr mujhe maar daalta hai
Is darr ko mere seene se nikaal do na
Agar main tumse pyar karte karte
Zindagi ki raahon mai kahin khone laga
To apne pyar ki shama jalaoge na
Tanhai ke darr ko nikaal doge na
Agar kabhi tumhare maamle mai haarne laga
Apni shikast ko tasleem karne laga
To tum naye sirey se jeet ki umang doge na
Mujhe kabhi haarne nahi doge na
Ek hi darr mere dil mai hai
Is darr ko mere dil se nikaal do na
Tum sirf aur sirf meri ho
Is dumiya ko bhi jata do na
Friday, August 22, 2008
Kisi manzil ko thokar maar ker waapis chalay aana
Ya manzil ko faqat ik junbish-e-lab se
Bohat aasan ha tum ko waapis palat jaana
Mujhe tum se muhabbat k siwa kuch nahi aata
Mager iss main bhi kab koi qareena seekh paai main
Ye dekho aankh rona chahti hai
Ye dekho haath kitnay sard hain meray
Ye dekho dil ki dharkan kis terah tarteeb kho ker doobnay ko hai
Ye dekho mera aanchal meray haathon se phisal ker urr gaya kab se
Ye dekho saans ki dori bhi mujh se chootnay ko hai
Meray ehsaas ka resham ulajh ker tootnay ko hai
Mujhe to ye huner bilkul nahi aata
Keh kaisay apnay zakhmon ko chupaatay hain ?
Ya kaisay dard ko dermaan banaatay hain?
Ya kaisay rooth'ti saanson ka daaman
thaam ker waapis bulaatay hain ?
Bohat be khwaab aur weeraan mausam main
khafa neendon ko kia keh ker mnaatay hain ?
Mujhe ye hunar bilkul nahi aata
Keh kaisay apnay merr jaanay pe nohay aap kertay hain ?
Ya apnay he galay lag ker dilaasa kaisay bantay hain ?
Phir apni he laash ko kaisay....
Ya kisi ki adh bujhi taaza chitaa main jhonk detay hain ?
Ya phir aakaash k neechey khula he chorr detay hain ?
Mujhe to ye hunar bilkul nahi aata....
keh kaisay zard mausam main....
Kisi bhi sard aur be dard mausam main
khushi ka aik bhi ghuncha .....
Ya kaisay aadhay raastay se gharon ko lout jatay hain?
Mujhe tum se muhabbat k siwa....
Wednesday, August 20, 2008
LIFE.... LIVE IT !!
So friends enjoy life with all that it gives, tears or laughter, accept all and you will find life more beautiful to live it......
We human beings have only one life to live; then why not celebrate and enjoy it? All of us are born with valuable gifts to make our lives happy; but we hardly make use of their full potential. If only we realise this, all of us can enjoy life.
Our domain is the present. Let us not allow ourselves to drift into the past, nor should we avoid the realities of the moment by thinking about the future.We know we cannot change the past, but we can ruin the present if we are not careful. So let us not squander the precious little lifetime given to us by feeling sorry for the past that NEVER returns, or worrying about the future that is UNCERTAIN. Let us try to optimise joy in our lives by focusing on the here and now.
Joyful moments can make a lifetime of happiness; their memories can create a heaven on earth.REMEMBER, we have only one chance to live the happy life of a unique human being and NOBODY gets a second chance!!
THEN WHY NOT CHOOSE TO LIVE A JOYFUL LIFE, AS LONG AS WE LIVE!
Yaad Bahut Ham Aayenge ...
Jab Yu Hi Kisi Din Hame Na Paoge
Tab Yaad Bahut Ham Aayenge
Jab Yu Hi Bevajah Kisi Ko Satana Chahoge
Tab Yaad Bahut Ham Aayenge
Jab Yu Hi Kisi Ka Dil Todna Chahoge
Tab Yaad Bahut Ham Aayenge
Jab Raaton Mai Kisi Ko Intzaar Karta Dekhna Chahoge
Tab Yaad Bahut H
am Aayenge
Jab Apni Saalgirah Ke Din Kisi Ko Betabi Se Wish Karta Na Paoge
Tab Yaad Bahut Ham Aayenge
Jab Hu Kabhi Sachhi Mohabbat Ki Misaal Kahin Dekhoge
Tab Yaad Bahut Ham Aayenge
Jab Kabhi Bheed Mai Khud Ko Tanha Paoge
Tab Yaad Bahut Ham Aayenge
Yeh To Hona Hi Hai Ek Din Ki Yaad Bahut Ham Aayenge
Par Jab Yaad Ham Unko Aayenge
Wo Hamko Kahin Na Paayenge
Han Magar Yaad Bahut Hum Aayenge !!!
kya faida kisi ki yaadon mein aansu bahane ka…
Jo samjhe na kisi ke dil mein base pyaar ko,
kya faida uske pyaar ke liye dil ko tadpaane ka…
Chhote se dil ko milte gham bahot hai,
zindgi mein milte har pal zakhm bahot hai…
Maar hi dalti kabki yeh duniya,
kambakht kuch dosto ki duaon mein dum bahot hai…
Usne jo mera sath na diya,
shayad uski bhi koi majboori thi…
Bewafa to voh ho nahi sakti,
shayad meri mohabbat hi adhoori thi
Saturday, August 16, 2008
Hugs......
What are Hugs...?
There are no such thing as a bad hug,
only good ones and great ones
Hugs are...
non fattening and they don't cause cancer or cavities..
all natural with no preservatives, artificial ingredients or pesticide residue...
easy to care for, they are a completely renewable resource..
non-taxable, fully returnable and energy efficient..
safe in all kinds of weather
Infact,
Hugs are
especially good for cold and rainy days
Hugs are
exceptionally effective in treating problems like bad dreams or Monday blues...
Never wait until tomorrow to hug someone you could hug today,
because when you give one,
you get one right back your way!
Kabhi khushi se khushi ki taraf nahi dekha
wo mera hai par usne meri taraf nahi dekha
Zindagi se mila to hoon magar kuch is tarah
Mane uski usne meri taraf nahi dekha
Usko dekha tha ik baar badi sanjeedgi se
Us se behtar koi doosra nahi dekha
Wo mera ishq hai yaa ibaadat hai meri