woh phool si muskurahat mere liye hoti
woh masoom shararat mere liye hoti
main us zulf ki chaaon main soo jaata
woh kaali raat mere liye hoti
raat bhar woh ghomaati apna kangan
woh bechayni woh betaabi mere liye hoti
woh ek taara tha khuley aasmaan main
aey kaash woh roshni mere liye hoti
mere wujood main bhi zindagi ka suraagh milta
jo woh munawar nazar mere liye hoti
rishtaa kuch to ban jaata apna bhi
mohabbat nahi na sahi,nafrat mere liye hoti
No comments:
Post a Comment